Ye baat samaj mai aai nai,
or mummy ne samjhaai nai
Mai kese meethi baat karu?
Jab meethi cheez koi khai nai
Ye chand kese maamu h?
Jab mummy ka wo bhaai nai
Kyu lambe baal hai bhalu ke?
Kyu uski triming karai nai.
Kya wo b ganda bacha hai?
Ya jungle mai koi naai nai.
Naani ke pati jb naana hai.
Daadi ke pati jb daada hai.
Didi ke pati kyu dida nai?
Ye baat samaj mai aai nai
or mummy ne samjhaai nai.
Samandar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milaya nai
Jb school me itni nind aati hai.
To kyu bed waha rakhwaya nai.
Ye baat samaj mai aai nai
or mummy ne samjhaai nai.
Very nice!
ReplyDelete